Saturday, April 26, 2014

Ek karz hai mujhpe

Kuch na rha ab baaki mere hisse mein,
saanson ka bas yeh ek karz hai mujhpe,
chahu toh abhi karlu mohabbat maut se mein,
par kuch apne abhi bhi hai mere aangan mein.

Har waqt yeh khyal rehta hai mann mein,
saath nibhate nibhate sabka, kudh ko kitna peeche chodd aaya main,
maa ne kitni awaazein lagayi thi mujhko,
jaane ko mana kiya tha duniya mein
dheeth mera bachpana tha, bure ko aate dekh pehchan na saka mein

jalta hai tan mera, thandi thandi baarish mein
laal rang ke aansu, bas thame huye hai aankhon mein
saath ab kisi ka nahi mere hisse mein,
saanson ka bas yeh ek karz hai mujhpe

arth nhi hai ab mere lafzon mein,
dard nhi hai, mujhko mar jaane mein,
tawazzon dete dete thakta nhi tha jinko main
saamne hoke bhi unko dikhta nhi main

raah ab kisi ki nahi  meri aankhon mein,
saanson ka bas yeh ek karz hai mujhpe

No comments:

Post a Comment